- Woh shakhs bada achchha insaan hai jo apne ilm par amal kare aur apne zaaid maal ko (mohtaajon par) kharch kare aur be faaida guftagu se ruka rahe.
(Shoabul Imaan : 3388)
- Logon mein achchha aadmi woh hai jise gussa der se aaye aur jaldi chala jaaye.
(Tirmizi : 2191) - Do gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta'ala duniya hi mein jaldi de dete hain;
- 1- Zulm,
- 2- Waalidain ki naafarmaani.
- 1- Zulm,
- Yaqeenan aadmi gunaahon ki wajah se rizq se mahroom kar diya jaata hai.
(Musnade Ahmad : 22413)